Activate DND(Do Not Disturb Service) How to block unwanted promotional call and sms. - Hindigyan4tech india
Recent Posts:

Activate DND(Do Not Disturb Service) How to block unwanted promotional call and sms.

Namaskar dosto, Hindigyan4tech India me aap sabhi ka bahut-bahut Swagat hai. Aaj ki es post me ham aapko batane bale hain, How to block unwanted promotional call and sms. Aur DND service kam kaise karta hai.

Agar aapke phone par aate hain bahut tarh ke unknown company ki taraf se SMS and Call to aap apne number par DND service activate kar ke apne phone par aane bale es tarh ke call aur sms ko stop/block kar sakte hain.
activate Do Not Disturb Service
activate Do Not Disturb Service


What is DND? Do Not Disturb service kam kaise karta hai?

DND ka full form hai- Do Not Disturb Service, es service ko apne number par activate kara kar aap apne phone par aane bale sabhi parkar ke unwanted promotional sms aur call ko block kar sakte hain.


How to block unwanted promotional call and sms on Android phone.

Agar aap apane number par DND service activate karna chahte hai to aap en steps ko follow karke apne kisi bhi number par DND service activate kar sakte hain.
Eske liye sabse pahle aapko apne number se 1909 par Start 0 Massage karna hoga, eske bad 1909 ke taraf se confirm karne ke liye ek massage aayega, eske bad bapas phir se "Y" likh kar reply kar de, ab aake number par Do Not Disturb Service activate ho jayega aur eske bad aapke us number par unwanted promotional call and sms aana block ho jayega. Es service ko puri tarah se activate hone me 1 week tak ka samay lag sakta hai.

Ab aapke man ke yah sawal hoga  ki Do Not Disturb Service me yaisa kya hota ki sabhi companies hame eka ek sms aur call karna band kar deti hai? Kya aap eske bare me jante hain? Chaliye ese achhe se samjhte hain ki Do Not Disturb service kis tarah se kam karta hai.

Jab ham apne kisi number par DND service activate karna chahte hain to 1909 par massage send karke dnd service activate karne ke liye request send karte hain to yah request pahle TRAI (Telecom regulatory Authority of India) ke pas jata hai. Uske bad TRAI un sabhi numbers ka ek list bana kar  un  Telecom companies ke par bhej deta hai jo hamare number par es tarah ke promotional
Call aur SMS bhejti hai. Ab wo companies apne list se un sabhi numbers ko remove kar deti hai, taki next time en numbers par sms aur call nahi kar paye.

Yaise me bahut sare log yah sochte hain ki agar ham apane number par Do Not Disturb Service activate kar lete hain to hamare number par unknown numbers se koi massage aur call nhi aapayega. Yani jo number hamare contact list me save hai bas usi number se hamare number par call aur sms aayega. To yaisa bilkul bhi nhi hai, kyoki yah DND Service sirf un companies ki taraf se aane bale sms ko block karta hai.
 Yaise me agar koi company aapke number ko apne Do Not Disturb Service ki list me jab tak update nhi karta hai tab tak us company ki taraf se aapko es tarah ke sms aate rahenge.
Also Read :-


I hope aap Do Not Disturb Service kaise activate karte hain aur DND service kaise kam karta hai. en sari chijo ke bare me achhe se samajh gye honge. Agar aapko yah post pasand aaya hai to es post ko apne Social Media par apne dosto ke sath jarur share karen.

No comments:

Post a Comment