DNS kya hai? domain name system kam kaise karta hai puri jankari. - Hindigyan4tech india
Recent Posts:

DNS kya hai? domain name system kam kaise karta hai puri jankari.

Namaskar dosto hindigyan4tech me aap sabhi ka bahut-bahut swagat hai. aaj ki es post me ham aapko batane bale hain DNS kya hai? domain name system kam kaise karta hai puri jankari hindi me. agar aap ek internet user hain to aapko DNS ( Domain name system ) ke bare me janna bahut hi jaruri hai. aaj ki es post me ham aapko esi ke bare me batane bala hun, agar aap dns ke bare kuchh bhi nhi jante to aaj ki es post ko pura  jarur padhe kyuki es post ko padh kar aapke es se releted sare sawal ke jabab mil jayenge.
Domain name system kya hai?
Domain name system

DNS kya hai? domain name system kam kaise karta hai puri jankari hindi me.


DNS ka full form hai- domain name system/domain name service. Internet ki duniya me sare chij ek dusre se conected hain or ye conecte ho pate hain IP Adresses ki maddat se, simple bhasa me DNS ( domain name system ) ek yaisa system hai jo kisi website ko mobile/computer or laptops ke sath connecte karne me maddat karta hai bina us website ke IP address ko enter kiye. yani website ke domain name search karne par use website ki ip or search karne bali device ki ip se connect karta hai, Aaj ham DNS ki maddat se kisi bhi website ko uske nam se hi open kar pate hain wah bhi bina us website ki ip jane bina. Ab agar aap ek internet user hain to aap ip adresses ka nam jarur sune honge ya aap eske bar me jarur jante honge. Agar nhi jante to chaliye pahle jante hain ip adress kya hota hai, kyoki  bina ip adresses ki jankari ke dns ko samajh pana thora muskil hai.

IP Address kya hai? 


IP Address kya hai? IP Address ka full form - internet protocol address hota hai. Aur aaj ham jo puri duniya ke sath me internet se connected hain wah connection IP Address ki maddat se hi ho pata hai. yaise sabhi device jinse ham internet use karte hain un sabhi device ka ek alag alag ip adress mila rahta hai. jo ki ek binary number hota hai, sabhi device ka ip adderss alag alag hota hai, eske sath hi internet par bane sabhi website ka bhi apna alag-alag ip address hota hain.
Example- jaise har sim ka number alag-alag hota hota hai usi tarah ip address bhi har device aur website ke liye alag-alag hota hai.

Ab yaise me sabhi vyakti ke number ko yaad rakhna muskil hai, to esse bachane ke liye ham un sabhi phone number ko jis vyakti ka number hai us vyakti ke naam se apane phone me save kar lete hain. Eske bad jab bhi hame us vyakti se bat karna hota hai to ham apne contect list me us vykti ka naam search karke use call kar pate hain, hamari jo human ability hoti hai jisme ham naam jaldi yaad karte hain number hame yaad nhi rahte hain. To yahi soch ke sath Domain Name Server (DNS) ko banaya gya ki aap jab koi website visit karte ho to aapko use website ka Naam yaad ho jata par use website ka IP Address nhi, abhi aap HindiGyan4tech par es article ko padh rahe hain to aapko es website ka naam yaad hoga na ki es website ka IP Address.

Agar jab aap kisi website ko uske naam (domain name) ke sath search karke visit karna chahte ho to aapko us website par pahuchane me Domain Name System (DNS) aapki maddat karta hai, aap yaise me jab kisi website ke naam search karte ho to Domain Name server us naam ko us website ke ip address se connect karke aapko wah website open kar deta hai.

Yaise me agar aapko use website ka ip address yaad hai to aap directe IP Address enter karke bhi us website ko visit kar sakte ho. Par jada-tar log naam search karke hi kisi website ko visit karte hain.

DNS ka kam hai ki wo jitne bhi Domain yani jitni bhi website ke naam hain usko resolve karke ek IP par deta hai kyoki pura computer network jo hai wo chalta hai sirf aur sirf IP par. To ip ke bina koi bhi laptop, mobile, or computer ya koi or device ek dusre ke sath comunicate nahi kar sakte hain.
Also Read :-


Esi chij ko aasan banane ke liye hi DNS ko banaya gya taki logo ko IP address yaad nhi karna pare bas use website ka naam yaad karna pare, taki jab koi use naam ko search kare to DNS us naam ko ip address se contect kar use website par pahucha sake.

I hope ab aap Domain name system kya hai aur kam kaise karta hai en chijo ke bare me achhe se sajh chuke honge, agar yah post aapko helpful laga hai to aaj ki es post ko apne social media par apne dosto ke sath jarur share kare.

No comments:

Post a Comment