What is Bing? Bing kya hai ise kisne aur kab banaya tha? - Hindigyan4tech india
Recent Posts:

What is Bing? Bing kya hai ise kisne aur kab banaya tha?

Namaskar dosto Hindigyan4tech India me aap sabhi ka bahut-bahut Swagat hai. Aaj ki es post me ham aapko batane bale hain, Bing ke bare me ki Bing kya hai aur ise kisne aur kab banaya tha puri jankai. Agar aap internet user hain to aapne bing ke bare me to jarur suna hoga aur use bhi kiya ho. Lekin kya aap jante hain Bing kya hai aur ise kisne banaya tha, agar aap bing ke bare me janna chahte hain to aaj ki es post me ham aapko isi ke bare me batane bale hain.
What-is-bing

Bing kya hai ise kisne aur kab banaya tha?


Bing Google ki tarah hi ek search engine hai, jise Microsoft company ke CEO Steve Ballmer ne 3 june 2009 ko Completely launch kiya tha. Sabse pahle bing ko live search ke naam se jana jata tha, phir eska naam change karke ise Bing rakh diya gaya. Yah search engine Microsoft ke Phone aur Laptop me default Browser ke roop me diya hota hai. Yah Google ke bad sabse bada search engine hai.

Bing search engine me aapko kuchh khas feature bhi diye jate hain. Page zero aur Social search jaise kuchh khas feature bhi hai. Page zero feature ka Matlab hai ki aap apane search kiye gaye keyword ke bare me bina koi website open kiye bina bhi jankari le sakte hain.

Bing search engine me agar aap ki image ko search karte hain to aap waha par bina next page kiye bina lagatar ek hi page par use keyword se related anginat photos dekh sakte hain.


Yah thi Bing ke bare me chhoti si complete jankari, I hope es post se aapko bing ke bare me achhi jankari mili hogi.

2 comments: