Google kya hai ese kisne aur kab banaya tha puri jankai. - Hindigyan4tech india
Recent Posts:

Google kya hai ese kisne aur kab banaya tha puri jankai.

Namaskar dosto, Hindigyan4tech India me aap sabhi ka Swagat hai. Aaj ki es post me ham aapko batane bale Google Kya hai ese kisne aur kab banaya tha. Hamlog hamesa kisi bhi jankari ke liye internet par google ka sahara lete lekin yaise me, Hamlogo me se kitne logo ko ye pata hai ki google kya hai aur ye etni sari jankari kaha se lakar dete. Yaise me ham sabhi ke man es tarah ke sawal aate rahte hain, Google kya hai? Google ka full form kya hai. Google ko kisne aur kab banaya tha, Google ka history kya hai? Agar aapke man me bhi esi tarah ke sawal aate hain to aaj ki es post ko padhne ke bad aap ke ye sare sawalo ke jabab mil jayenge.
google-kya-hai

Google kya hai ise kisne aur kab banaya tha?


Google ek search engine hai jaha log apni jarurat ki chijo ko search karte hain aur google un chijo ki jankari alag-alag platforms se khoj kar ham logo tak pahuchata hai. Es mamle me Google Ab duniya ka sabse bada search engine ban chuka hai. Google ki surwat 1996 me Larry Page aur Sergey brin ne kiya tha. Ye Stanford University me PHD ke student the.
Sabse pahle es search engine ka naam GOOGOL rakha gya tha, lekin spelling mistake ki wajah se iska naam Google ho gaya.
Google ka full form :- Global Organisation of Oriented Group Language of Earth hota hai. Ye logo ke dwara Google ka full form Banaya Gaya hai, kyoki Google ka koi Adhikarik roop se full form ghosit nahi kiya gaya hai.

Google ab search engine ke sath sath multinational company Ban chuka hai, Kyunki Google aaye din apni nayi sevao ke sath logo ka bharosa jeet kar aage badhta ja raha hai. Google ke kuch popular platforms Hai jinhe Shayad aap log hai use karte Honge.
1. Youtube
2. Google Drive
3. AdSense
4. Analysis
5. Chrome
6. Google photo
7. Blogger
8. Google Maps
9. Google pay ( money transfer app )
10. Google Play
Ea tarah ke aur bhi bahut sare Google ke platforms hain.


Google ka History kya hai ?

Google ka history kafi rochak hai, jaisa ki maine aapko upar me bataya google ko 1996 me Stanford University ke 2 PHD students Larry Page aur Sergey brin ne banaya tha. Use samay google ka naam Backrub rakha gaya tha. Esme un websites ko sabse upar show kiya jata tha jis website ko dusre website ke dura support ( Backlinks ) prapt tha.

1997 me eska naam Backrub se GOOGOL rakh diya gaya, jiska matlab hota tha 1 ke pichhe 100 zero. Es Googol nam ka spelling mistake ki bajah se Google hogya jise Larry Page aur Sergey brin ne sudharna sahi nhi samjha aau use din se es search engine ka naam google ho gaya.
Eske baad 1998 me google ne apna domain name Ragister kara liya aur 2000 aate aate Google bing aur Yahoo jaise bade search engine ko pichhe kar duniya ka sabse bada search engine ban gaya. Eske bad google lagatar aage ki or badhta gaya.
Eske bad google ne apne aur bhi alag alag platforms bana suru kiya, jaise 2000 me Google AdWords, 2004 me Gmail, 2005 me Google Maps, aur 2006 me YouTube jaise bade platforms ki shuruaat kiya, Google ka ye shil-shila yahi nahi thamha google aaj bhi apna naya naya platform banate huye aage badhta ja raha hai. Gogle ke sare platforms ke bare me ek post me bata pana aasan nhi hai esliye ham aapko Google kuchh aur platforms ke bare me apne aane bale post me batayenge.


I hope Google ke bare me aapke sare doute cleare ho chuke honge, agar ha to es post ko apne Social Media par dosto ke sath jarur share kare. Aur yah jankari aapko kaisi lagi niche comment kare taki hame esi tarah ke post likhe ka motivation milta rahe.

3 comments: