Google Drive kya hai aur kam kaise karta hai? - Hindigyan4tech india
Recent Posts:

Google Drive kya hai aur kam kaise karta hai?

Namaskar dosto aaj ki es post me ham aapko batane bale hain Google Drive kya hai aur kaise kam karta hai? ( What is Google Drive? ). Yeah Google ka hi ek service hai jaha ham logo ko apne photo, video, files, contacts ko online store kare ki suvidha di jati hai. Google Drive par store kiye gaye file ko ham kisi bhi device par internet ki maddat se recover kar sakte hain, Es service ko bahut sare logo ne bahut jada pasand kiya hai.
Google-drive-kya-hai

Google Drive Kya hai? What is Google Drive?


Google Drive kya hai, ese simple bhasa me yah kah sakte hain ki Google Drive Google ki ek service hai jaha hame apne Photo, Video, contact, aur other files ko online store karne ki subidha di jati hai. Google ne ese 24 April 2012 ko shuru kiya tha. Google Drive Google ki ek free cloud Storage service hai jaha hame 15GB tak ke files ko store karne ki free subidha di jati hai. Eske bad aapko kuchh paise dekar Google drive ka Subscription lena hoga jaha aapko saste me bahut achha cloud storage mil jata hai.

Google Drive av tak ka sabhe behtarin Cloud Storage mana jata hai, ese use karna kafi aasan aur subidhapurn hai, Google drive ko ham apne kisi bhi device par use kar sakte hain, ese ham smartphone, laptop, aur PC kisi bhi device se apne files ko online store karne ke liya use kar sakte hain. Google drive sirf ek online cloud Storage hi nahi hai balki eske sath me hame or bhi kai sase feature diye jate hain.
Also Read:-


Google Drive ka use kyu kare?


Ab bat aati hai ki google drive ka use kyu kare. Eske liye aapko en chijo ko samajhna hoga tab aap yah samajh payenge ki Google drive ka use kyu kare aur yah kitna jaruri hai.

Sabse pahle to aap Google drive ka use karke apne offline storage ko free kar sakte hain, kyu ki aaye din hamesa hame apne phone me low Storage ki warning notification dekhne ko milta hai aur ham ese free space karne ke liye apne kuchh important files, documents ko bhi delete kar dete hain aur bad me hame pachhtana parta hai, lekin aap Google drive ka use karke es problem se chhutkara pa sakte hain, aap apne important documents, file, photo ko Google drive par upload karke, kyoki Google drive par upload kiye gaye file ko aap kahi bhi kisi bhi device par recover kar sakte hain.

Agar aap ka purana phone kharab ho jata hai to yaise me aapke bahut sare contact, photo, file, documents bhi us phone ke sath hi khatm ho jata hai. Lekin agar aap Google drive ka use karte hain to aap apne naye phone me use Google account ko logging karke sync karke apne sabhi contact aur important files ko recover kar sakte hain.

Google Drive par files kaise upload kare?

Google drive par photo, video, documents aur other files ko upload karne ke liye en steps ko follow kare.

Follow these steps
Step 1 :- agar aapke pas Android phone hai to sabse pahle aap apne phone me Google Drive app open karke apne Google Account se loggin ho jaye. Ya drive.google.com ko apne browser me open kar loggin ho jayen.

Step 2 :- Log in hone ke bad niche Right corner me + ke icon par click kare.

Step 3 :- Ab aapke samne ye option nagar aayenge Folder, Upload, Scan, Google docs, Google sheet aur Google slides.
Agar aap apne files ko ek naye folder me upload karna chahte hain to folder ke option par click kar nya folder create karle.
Agar aap apne offline storage se direct Google drive par file upload karna chahte hain to to Upload ke option par click kare.
Agar aap ki document ko scan karke Google drive par upload karna chahte hain to Scan option par click kare.
Agar aap google docs ya MS word se edit kiye gaye file ko upload karna chahte hain to Google docs option par click kare.
Esi tarah agar aap MS Excel se edit kiya hua file upload karna chahte hain to Google sheets ke option par click kare. Aur agar aap Ms PowerPoint se file ko upload karna chahte hain to Google slides ke option par click kare.

Es tarah aap apne file ko slecte karne ke bad Google drive par upload kare.

Google Drive se file kaise restore kare?

Google drive se file restore karne ke liye sabse pahel aap apne google drive ko open karle eske bad aap jis file ko restore karna chahte hain use slecte karle, ab More Options par click kare, ab Download par click karke us file ko restore karle.

Google Drive se upload files ko permanently delete kaise kare?


Eske liye Google drive account ko open karle ap aap jis file ko delete karna chate hain us file ko slecte kare ab niche me remove ke option par click kare ab aapke Google drive se wah file permanently delete ho jayega.
Also read:-


I hope ab aap Google drive kya hai aur kam kaise karta hai, aur kaise use kare ke bare me achhe se samajh gaye honge. Agar yah post aapko helpful laga hai to es post ko apne dosto ke sath jarur share kare.

No comments:

Post a Comment