Best method Photo ka size reduce kare Phone se 2018. - Hindigyan4tech india
Recent Posts:

Best method Photo ka size reduce kare Phone se 2018.

Namaskar dosto, Hindigyan4tech India me aap sabhi ka bahut bahut swagat hai. Aaj ki es post me ham aapko batane bale hain phone se Photo ka size reduce kaise kare bina quality change ke.

Agar aap ek student, business man, ya blogger hain, to aksar aapko photo size ko compress karne ki jarurat parti hogi.

Agar aap ek student hain, to jab bhi aap koi online form apne phone se hi fill kana chahte honge tab aapko, photo aur signature ke size ko ek limite me upload karna hota hai (Example 10-15 kb) jo aapke samne muskil khada kar deta hai. Yaise me agar aap photo ke size ko agar reduce karne ka tarika jante hai to aapko esme koi paresani nhi hogi.

Essi tarah agar aap ek blogger hain to aap apne blog post me 1-2 photo to jarur use karte honge, yaise me agar aap photo ka size bina reduce kiye agar aap koi photo upload kar dete hain to aapke blog ka load time kafi jada badh jayega, yaise me aapko chahiye ki aap apne un photo ko kisi yaise tools se photo size kam kare jisse aapke image ki quality me bina change photo size aasani se reduce kar paye.


Image size reduce kare android phone se


Agar aapke man me es tarh ke sawal hain.

1. how to compress photo size in mobile.
2. Phone se image size ko kaise compress kare.
3. Photo size reduce karne ke liye best app.
4. Compress photo size without Change photo quality.


To aaj ki es post ki maddat se aap ke en sawalo ke jabab aasani se mil jayenge. Aur aap apne Android phone se hi photo size reduce kar payenge.

Photo ka size compress kaise kare.


Photo size compress karne ke 2 tarike hain.

1. Offline method.
Es methode se aap apne phone me ek app ki maddat se aap jitna kb ya mb ka photo bana chahte hain to aap wo ek dam aasani se kar payenge.

2. Online method.
Es method se aap apne kisi bhi divice se online photo size reduce kar sakte hain bina kisi app ya software ke use ke. Par eske liye aapke phone me internet ka hona jaruri hai.

To chaliye en dono method ke bare me pura detail se jante hain.

Android Phone se Image size ko compress kaise kare.


Sabse pahle bat karte hain offline method ki, eske liye sabse pahle es app ko Install button par click karke install karna hoga. Install Now

App ko Install karne ke bad en Steps ko follow kare.

1. App Install karke open kare. Ab aapke samne simple Sa interface dekhne ko milega, oha par ek choose Photo ke button par click kare.

2. Ab aap ke samne aapke phone ke sare photo show hone lagenge, ab aap jis photo ke size ko kam karna chahte hain us photo slecte kare.

3. Ab photo slecte karne ke bad aapke samne ek khali box dekhega jisme aapko photo ka size dalna hoga. jitna kb ka photo aap reduce karna chahte hain wo number dalne ke bad niche Start ke button par click karde.

4. Ab thora sa load lene ke bad aapka photo aapke man mutabik size me reduce hokar aapke phone me save ho jayega.

Photo size reduce kare android phone se
Photo size reduce kare android phone se


Yah photo aapko aapke phone ke internal memory me QReduceLite nam ke folder me milega.

Online Photo ke size ko kaise reduce kare.


Online photo size reduce karne ke liye bahut sare yaise website hain jo photo ko aasani se reduce kar dete hain. To chliye Unme se kuchh website ke bare jante hain.


Es website ko open karne par eska aapke samne simple page open ho jayega jaha aapko kuchh option milenge unme se slecte image par click karke apne phone ya computer se us image ko select karle jise aap reduce karna chahte hain. Eske bad percentage set kare ki aap image ka kitna percent reduce karna chahte hain. Uske bar Resize button par click karde. Bas aapka photo size compress ho jayega, ab aap es photo ko download karke jaha chahe oha use kar sakte hain.


Yah website advance level ka website hai, yaha par aapko image size reduce karne ke sath-sath or bhi bahut sare option milte hain. Jaise Crop, rotate, background transparent, choose image format, Etc.

Es tarah se aap apne kam ke hisab se photo size ko reduce/compress kar sakte hain.

I hope esse releted aapke sare questions solve hogye honge. Agar aapko yah post achha laga hai to aaj ki es post ko apne sabhi dosto ke sath apne Social Media par jarur share kare. Aur agar eske bare me koi or sawal ho to comment jarur kare.

1 comment: